Aaj keh diya, fir na kehna,
Meri nazro se door tum na rehna,
Khushi banker lafzo pea aye ho tum hi,
Ask banker ankho se na behna tum …!!
Gile kagaj ki tarh hai zindagi apni,
Koi jalata bhi nahi, aur koi bahata bhi nahi,
Is kadar raho me akela hai dil,
Ki koi satata bhi nahi, aur koi manata bhi nahi….!!
Humne tanhai me jangir se baat ki hai,
Apni roti hui takdir se baat ki hai,
Tere didaar ki kya khak tamana hogi,
Zindagi bhar teri tasveer se baat ki hai…!!
Magi thi dua aashiyaane ki,
Chal padi aandhiya jamane ki,
Mere gum koi nahi samjh saka,
Kyuki meri aadat thi muskurane ki….!!
Phool banker muskurana zindagi hai,
Muskura ke gum bhulana zindagi hai,
Jeet kar hum khush hue to kya hue,
Haar ke khushiya manana zindagi hai…!!
Aise nahi tumhe chhodenge hum,
Yunahi zindagi se rishta todenge hum,
Ab maut bhi na juda kar payegi hume,
Jaha teri saans khatam waha apni saanse jod denge hum…!!
No comments
Post a Comment